Youtube se pesa kese kamaye - Full Guide For Beginner 2019 - Ashutosh

Hot

Post Top Ad

Thursday, June 14, 2018

Youtube se pesa kese kamaye - Full Guide For Beginner 2019


Youtube se paisa kaise kamaye – full guide for Beginner






Youtube se pesa kese kamaye - Full Guide For Beginner





Youtube se paisa kamana koi mushkil nahi hai. Youtube ko google ne videos dekhne ke liye banaya hai. Is par ham jaise users hi video upload karte hai . Iske badle me hmari income hoti hai. Isse aap bina investment kiye free me online income kar sakte ho.

Youtube Google ki hi service hai or google fraud nahi ho sakta ye bat sab jante hai. Agar apko youtube me interst hai or aap youtube se paisa kamana chahte ho or video bana sakte ho to thoda time jarur lagega par post ko pura padhna

Wese youtube ke alawa bhi internet se paisa kamane ke bahut se tarike hai jinse bhi aap without investment ke online earning kar sakte ho.. Jaise blogging , Adsense , affiliate marketing in sabse aap earning kar sakte ho in sab methods se kese earning hoti hai iske liye apko Mere facebook page ko like karna hoga. Jaha inhi Chizo ke Daily Updates Aate Rahege.



FB Page Link:


Youtube channel videos upload karne ka sabse best platform hai jis par aap video upload kar ke monthly 10,000 / 20,000 / 50,000 / 1,00,000 Ya phir 1 lakh se bhi jada earning kar sakte ho. Bahut sare youtubers isse lakho paise per month bhi kamate hai.


Apna khud ka youtube channel banaye aur in steps ko follow kare :


   1.  Youtube pe video banana ke liye kya kya hona chyiye ?

“Youtube se paisa kamane ke liye kin kin cheezo ki jarurat padti hai ?” ye sabse bada sawal hai kynki bahut se log isi wajah se pesa kamane mai fail ho jate hai.


STEP 1:

    1. Your Voice : Youtube par video banane  ke liye sabse jaruri hota hai apki awaj kesi hai .kyonki audience video main audio pe jada dhayan deti hai.

    2. Your Talent : Aap video ke throw logo ko kitna sikha sakte ho impressive kar sakte ho jisse wo hmesha apke video ka intezar kare.

    3. Video Quality : Apke banaye video ki quality better honi chyiye . Better qualti ke liye Better Camera se Recording kare. Aap Phone se bhi recording kar sakte hai But Camera Quality achi honi chyiye.








STEP 2:


1. Camera : video banana ke liye apke pas ek acha camera hona chyiye jisse aap apke viewers ko jo bhi activity kar rahe ho vo clearly visible ho.

2. Video Editing : video edit karne ki thodi bhut jankari ( basic knowledge ) learn karni hogi bss video editing main itna jada khass kuch nahi hai.

3. Good audience : video banane se pahle internet par apke Facebook , Google plus , Twitter or other social network  par thode bahut friends ho jo apki videos ko share kar sake.



2. Youtube se paise kamane ke konse konse tarike hain ???


Ab apko ye to pata chal hi gaya hoga ki youtube par video upload karne se pahle aapke pas kya kya hona chyiye or kin kin chizo ki jarurat hoti hai to chaliye ab aage jante hai ki video se paisa kaise kamaya ja sakte hai .


  • Google adsense -  Aap apni videos me google adsense ads laga kar earning kar sakte hai .( mostly  youtubers ka yahi  tarika hata hai earning ka )

  • Affilate marketing  - sabse pahle aap apne affiliate links banaye aap apne affiliate links mer diye gaye post Affilate Links kese banaye ?? me dekh kar bana sakte hai . aur phir apni video ke madhyam se aap kisi bhi product ke bare me promotion video banaye or video ke description mai apna link add kare..Jab koi viewer us product ko buy karega to apko uska kuch commission milega Jisse apko Earning milegi.

  • Product other channel  & Apps : Aap koi bhi Apps ya channel ko promote kara sakte hai apne youtube channel par uske apko jo App developer hai  vo uski promotion ke achi amount dete  hai.


3. “Youtube videos se Income kaise Hoti hai?”

      Koi bhi viewer jo apki video dekhega to apki 3 tariko se earning hogi .


  • .    Agar apne Youtube channel par Monetization Enabled kari hui hai to apko Google adsense ki traf se Ads milti hai jo apki videos pe aati hai .aur phir vaha se google adsense apko pese deta hai.

  • .    Agar koi viewer apke video mai diya gaya link se koi bhi product kharidata hai to apko apke affiliate link ki help se achi earning hoti hai – “yeh earning ka bahut acha tarika hai agar apke pass friends and public links ache hai .“

  •    Dusro ke youtube channel  ko ya phir kisi ke App ko promote kara kar aap channel admin ya App developer se earning kar sakte hai .


    4. Ab sawal aata hai ki youtube  apko kitna pesa deta hai ??

Dosto, youtube pe jo bhi Ads show hoti hai .  unke CPC ( Cost per click ) ke according  apko per Ad ka cost milta hai estimate $1 ya $5  ka ek click  hota hai ab agar mai isko Indian currency kai according batao to  200-300 RS per Ad Milta hai . But ye koi fix CPC nahi hota hai yeh alag alag country me alag alag trah se milta hai .

Example: USA or CANADA me apki  video Ads ek click ke $2 se $10 milta hai jabki india me sirf $0.20 se $1 hi milte hai.


    5. “Youtube se kitna pesa kama sakte hai ?”

Apko jitna jada traffic milega utna hi jyada apki earning hogi . Maine upar youtube se paise kamane ke kai tarike btaye hai . Har tarike se alag earning hogi . Adsense se aap Per 10,00,000 views par $300 - $500 kama sakte ho.

Affiliate marketing ki bat kare to aap affiliate marketing se bhi achi earning kar sakte ho . jese agar apko approx per sell par apke affiliate link se jitna bhi earning hogi like 1,000 per product  sell milta hai .. Aur agar apne 100 sell per month  kar diye to apki earning 1,00,000 Per month hogyi . To yeh  ek best tarika hai earning karne ka.

     6. “ Youtube ka paisa kaha par aata hai ? "

"Yeh sawal jadatar logo ke dimag me rehta hai ki youtube pe kamaya hua pesa  aata kaha hai.?" To iski puri process bahut easy hai . Apko apna Bank account google adsense me add karna hoga . Bina dare aap apna account adsense mai add kar sakte hai kynki adsense google ka hi ek part hai . to bina dare aap apna bank account adsense mai link kar sakte hai.

Apki payment directly apke Bank account mai jayegi.

Iske liye apko apke adsense ki verification karani hogi verification after $10 ke baad hogi. 
Verification ke liye important Data:

  • Bank account no.
  • Swift code no.( provided in your bank)
  • IFSC code
  • Name of account holder
  • Aadhar card
  • Current Address
Mjhe vishvas hai apko apke sabhi sawalo ka jawab mil gaya hoga agar kuch bhi apko doubt ho to Feel free to contact me :



Process In details :


     1Youtube channel banaye 

      Sabse first step ki youtube channel banye bahut hi simple hai  Iske liye aapko ek Gmail account ki jarurat hogi .. Gmail mostly logo ko banana aata hi hai. To apne Phone ya PC mai  www.youtube.com par visit kare aur setting mai jake vaha se Create new channel karke aap apna naya channel bana sakte hai. Agar aap Phone mai youtube channel banana chahte Ho to apko apne Phone ke Browser me jake usko Desktop site karna hoga.   Iske bare main janne ke liye meri next upcoming post ko dekha mat bhulna aagr apko youtube channel banana aata hai to well & Good

      Agar nhi aata hai to aap mjhse btayiye mai apke liye uspe bhi ek post likhuga . to yeh thi channel banane ki baat jo ki sabse important aur jarori thi.


     2. Videos banaye apne youtube channel ke liye

      Aap apne youtube channel ke liye koi bhi trending aur Information related  video banaye   aur  use apne sare friends logo ke sath share kare. Aur Apne youtube ke liye best Title aur Trending Title & Ideas janna hai to niche dekhe :

  • Personal Vlogs
  • Entertainment
  • Travelling
  • Bollywood
  • Comedy
  • Technology tips
  • Some amazing facts etc.

NOTE : Yeh sab bas ek Idea ke purpose se bataya gaya hai … Apka Jo bhi man karta hai aap us par video bana sakte hai . but dhayan rakhe Porn , violent aur koi bhi bad content Apki video main nahi hona chyiye . Isko Google ke servers Block kar dete hai .. aur apki Video delete ke sath sath apke channel Block Hona ka chance bhi badh jata hai.


       3. Youtube Channel  ko Google Adsense  se link kare:

Aapka banaya hua youtube channel ki Earning ki shruvat karne ke liye apko apne youtube channel ke settings main jake monetization Enabled karni hogi . Phir Google Adsense se registered karna hoga . Jisse jo bhi apki Earning hogi vo apke Google Adsense Account main jati rahegi aur jese hi $100 hote hi aap use direct apne bank account main le sakte hai.


      4. Last Step !! “Youtube se pesa kamana shuru kardo “

To yeh tha mera final step jisme Bas sare steps karne ke bad aap youtube pe earning kar sakte hai..

Note : Ek Important bat sabka mostly sawal hota hai ki youtube 10,000 Views ka kitna pesa deta hai.. To yeh to mai pehle bhi bata chuka hu ki koi fix income nahi hoti . Yeh depend karta hi apki videos konsi country me dekhi ja rahi hai..

Example : Agar meri video INDIA me 10,000 Views le Rahi hai to mjhe $2- $3(approx.) hi Milege 

But, Agar meri video USA ya CANADA jesi badi countries main dekhi jati hai to Un countries ka Jo CPC(Cost Per Click ) hota hai vo hmare INDIA ke compare main jada hota hai. To aap ko 10,000 Views ke $20 - $30 Bhi ya use jada bhi mil sakte hai. 

NOTE : Yeh ek approx Idea hai please Isse aap apni fix income na samjhe .








   

Apko Yeh Article pasand aaya ho to Support karna mat bhulna bahut mehnat lagi hai Is article Pe . Isse Apne facebook, Twitter , Instagram ya jaha bhi apke friends ho un sabke bich mai share kardo Taki koi bhi Online earning se Reh na jaye INDIA me sabse jada logo ko in chizo ke bare main nahi pata to Ab Time aagya INDIA Ko digital banane ka .. Share kardo..

Apko Daily ek Technology , Online Earning , Blogging , Youtube Earning , & Aur bhi bahut sare online earning karne ke tips milte rahege to unse sabse connected rehne ke liye Mere social networks par mjhe subscribe kar le ..


Share This Post.. Spread Your Love.

Daily ki Information Free mai 😃😃 .. Esa mauka aap kese chod Sakte hai ???




Thankyou.