Online shopping bilkul kam Price me kese kare – Trick 2018.
Namaskar Dosto !
Aajkal mostly log online shopping kar rahe hai kynki yaha apko milti hai Best Deal Vo bhi bilkul best price . lekin aapki thodi si laparvahi apka bhut bada nuksan kara deti hai aur apke jada pese laga deti hai .
Agar aap chahte hai ki online shopping kare aur apke kuch pese bhi bache aur apka product kam se kam price mai apko mile uske liye hmare is post ko pura padhe –
Yeh trick koi Hacking trick nahi hai aap isko bina kisi daar ke use kar sakte hai . Ji ,Ha mai yaha ek Tool ki bat kar rha hu jo apko google pe available mil jayega . Iski madad se aap apne pese bacha sakte hai online shopping karte time
Online Esi bahut si sites hai jo apko Sale dikha kar vahi Rs.500 ke product ko Rs.1000 ka bata kar uspe 50% Discount laga deti hai . Asal mai esa kuch nahi hota hai lekin is tool ki madad se aap 70+ sites ko compare karke us product ka price le sakte hai . Mai to jab bhi online shopping karta hu to is tool ko jaror istemal karta hu .
To iss Tool ka apko intezar tha uska name hai BuyHatke , jo ki Ek Browser Extension hai
Browser extension ka matlb ??
Yeh bhi application ki tarah hi hai, jaise aap normally apne Computer par koi application install karte hai Vaise hi jab hum Koi vo application install karte hai jo Google Chrome ke sath me attach hoti hai unhe Browser Extension kehte hai.
For Example : Jese maine BuyHatke ko Mere Google Chrome mai install kia aur Automatically mere Browser Mai vo Extension ban gaya jese is pic mai dikhaya gaya hai .
Jese aap Arrow ko Follow karke dekh sakte hai Ese Google Chrome mai yeh Extension ban jata hai .
Ab baat karte hai ki BuyHatke kya hai ??
BuyHatke Ek Shopping Extension hai jo Google Chrome or Firefox ke liye hi available hai . Jiski madad se aap Shopping karte vakt isse Kisi bhi Product ka Price chart dekh sakte hai ya us product ko kisi dusri sites pe compare kar sakte aur automatically discount bhi paa sakte hai .
Ab baat karte hia isse use kese kare ?? to isse use karna bahut asan hai isko aap Apne PC ya Mobile mai bhi use kar sakte hai .
Agar aap PC mai use karna chahte hai to BuyHatke ko install karne ke liye Niche Link pe click karle
Ab jante hai iske kya kya faide hai :
1. Compare Price 70+ Websites - Yaha par aap 70+ website par same product ka compare kar sakte hai aur best price with best discount ke sath use purchase kar sakte hai aur jaha sabse sasta product kharid sakte hai .
2. Apply Coupon Automatically - Jab aap product kharid lete hai aur payment karte hai to apko kuch Coupons ya promocodes ki madad se product mai kafi bhari discount mil jata hai . Magar in coupons ko dhundna bahut mushkil hai .
Lekin BuyHatke apke liye laya hai ek easy click jispe click karke vo apke liye acha discount coupon apply kar deta hai aur apke pese bachata hai .
3. Price Drop Alert : Yeh bhi ek bahut acha feature BuyHatke mai hai . Hum sab chahte hai ki product ki price kam ho tabhi use kharde agar apko uski itni jada jarurat nahi hai to.
BuyHatke apke liye laya hai ek bahut badiya mauka jisme apko price drop ka alert milega . yani ki jab bhi apke dwara kharide jana vale product ke price kaam hoge yeh apko alert message dega aur apko ek suitable time btayega us product ko buy karne ke liye.
Isse jada bhi badiya badiya features apko BuyHatke mai mil jate hai jab aap isse apne browser ke sath Add Extension karte hai . aur Online Shopping ke vakt iska bharpoor labh utha sakte hai .
Yeh online shopping lovers ke liye bahut hi acha Tool hai aagr abhi tak ise apne apne browser mai Add nahi kiya hai to nich link par click karke ise Add karle :
Agar apke pass Laptop ya PC nahi hai to koi bat nahi BuyHatke apko ek Android App mai bhi available hota hai jiska link apko niche diya hua hai vaha jake ise download kare aur ji bhar ke shopping kare aur apne mehnat ke peso ko bachaye :
To issi ke sath apse milta hai kal fir nayi technology ki information ke sath.
Agar apko is post se kuch naya sikhne ko mila ho to isko Apne Dosto aur Family ke sath share kare .
jisse mai apke liye online Earning , blogger , Youtube , affiliated earning aur latest technology News se related Daily ki posts Hindi mai lata rahuga. Koi Doubt ya enquiry ho to aap mjhe mere Fb page pe message kar sakte hai.
Share This Article .. Spread your love.💓
Other Posts :
- Apni khud Ki Website kese banaye - Step By Step
- Youtube Videos par unlimited views kese badhaye - Full Guide in hindi
- Youtube channel par din ke 50 - 60 Subscriber kese laye - Trick
Thanks for reading 🙂