Youtube Videos par views kese badhaye ? – Full Guide (For Beginner) 2018 - Ashutosh

Hot

Post Top Ad

Monday, June 25, 2018

Youtube Videos par views kese badhaye ? – Full Guide (For Beginner) 2018


Youtube Videos  par  views  kese  badhaye ? – Full Guide (For Beginner) 2018






Youtube Videos par   views  kese  badhaye ? – Full Guide (For Beginner) 2018



Namaskar Dosto !


Jese ki aap sabhi jante hoge ki youtube blogging pe bad ek bahut  Acha platform hai Earning ka . yaha se aap bahut achi khasi earning kar sakte ho. Bahut se Log youtube se lakho rupees kama rahe hai. Youtube se pese kamana bahut aasan hota hai apko sirf video create karke apne youtube channel par  upload karni hoti hai . But , Bahut se youtubers views ko lekar bahut jada pareshan rahte hai aur unke is problem ke liye hum is article mai aaj  padhege  to Is article main batayi hui tips ko follow kare.  Youtube se pese kese kamaye - Full Guide



Youtube ek Esa platform hota hai jaha aap koi bhi movies , songs , movies trailer , dialogues , comedy  aur bhi bahut tarike ki videos dekh kar mood fresh karte hai.  youtube pe bahut se channel ese hai jo ek – ek video pe millions main views lete hai aur aapka content unse jada acha hone ke bavjod apki videos pe views nahi aa pate hai.



Dekhiye Youtube Internet pe ek bahut bada platform hai video sharing ka jaha aap kisi bhi movies , songs , trailers ka promotion kar sakte hai.


Maine to youtube se kafi achi earning kari hai aur main ummid karta hu ki aap bhi achi earning youtube se kar rahe hoge . Aagr nahi to aap hmari is  Youtube Channel Banaye - Full Guide  post ko padh ke start kar sakte hai.  Ab hum baat karte hai youtube videos pe views kese laye unke liye yeh kuch tips :


Views badhane ke liye 5 Effective tips:


Youtube par lakho log aapke content ko copy karke videos banate hai . lekin unique videos banane vala hi trending main jata hai. yeh aap sabko pata hi hoga. Aagr aap youtube par kuch unique style main ya kuch attractive way se apne aap ko express karte hai to yeh tips apke liye hain.  











    1. Better Title


Website / Blog ke content ki tarah youtube videos  ke liye title bahut most important hota hai. aap jab bhi koi nayi videos upload karte hai to apka title impressive aur attractive hona chyiye  . Youtube videos ka title users ko sabse jada attract aur impress karta hai. ek acha title jiski search rank aur impression ho to aapko vo videos lakho views dila sakti hai.


Video ke title main ache Top level  ke keyword Add kare aur  Apni video ko SEO friendly banaye .


Hamesha research karke hi apni videos ka title banaye. Aap semrush jaise keyword researching tools ka use karke top Level ke keyword use kar sakte ho.


Top level Keyword kya hota hai ??



Keyword apke content ko SEO ( search Engine optimization)  . Yeh aapki videos ko better Rank dilane main help karta hai . Keyword main apko apni videos ke liye ek acha sa Title milega . Keyword tools iski research karke apko btate hai ki konsa Title jada search kiya gaya hai to aapko ise pata chal jata hai ki konsa Title ko log sabse jada search karte hai . To apka title bhi aagr Top level keyword ke Hisab se hoga to aapka Videos bhi top level pe rank karegi .



   2. Beautiful Effective thumbnails 


Youtube ne logo ko attract karne ke bahut sare features diye hue hai . Inme se sabse badhiya feature hai Tumbnails iski madad se aap apni video ko attractive bana sakte hai aur ache views le sakte hai.


Main personally aap sabhi ko suggest karuga ki apni videos ka thumbnail jitna acha bana sake use utna attractive banaye . Jiski madad se viewers bahut jada attract hote hai  aur apko aapki video par acha traffic Bhi  dikhayi dega. Bahut sare viewers thumbnail acha na hona ki vjah se video ko ignore kar dete hai.











Ab sawal aata hai thumbnail kese banaye ?



Agar apko lagta hai ki aap har baar apni videos ka thumbnail nahi bana payege . to koi baat nahi aap apni banayi hui video ka koi bhi acha scene jo apko acha lagata hai ya jo logo ko attract kare uska screenshot leke apne video ka thumbnail set kar sakte hai. Isse apka thumbnail jaldi ban jayega aur apka time bhi waste nahi hoyega.


    3. Better description 





Jese Website / Blog ke liye apko content ke description ki jarurat hoti hai thik vese hi aapko youtube par har video upload karte vakt description ki jarurat bahut hoti hai . Bahut se ese viewer bhi hai jo video dekhne se pehle description read karke video ke bare main janne ki koshish karte hai to aapko apni video ke liye description attractive banana hoga .


Aap apne video description main apne video ke title se related post ka link bhi daal sakte ho jisse apko youtube se bhi webisite ka traffic milega.










Description main ek chiz jaror yaad rakhe aapko apne sabhi social profiles ke link jaror dalne hoge jisse viewer apko follow karne ke liye kahi aur search na kare .


Bahut se visitors video dekhne se pehle description padhna pasand karte hai  unke liye aap description main video main btayi jankari ke 4 -5 steps bataye esa karne se log apki video main jada interested hote hai.




    4. Optimal length for Videos



Youtube par job bhi visitors aata hai vo yahi sochta hai ki kam video ki length main use sari information mil jaye . To aap is chiz ka jaror dhayan de . Jab bhi koi viewers apki video pe aata hai to vo sabse pehle video ki length check karta hai.


According to my suggestion , Video Ki jo length hai vo minimum 3 – 5 minutes honi chyiye aur aap koshish kare ki aap itne time main apne visitors ko jada information de paye . Agar video badi ho jati hai to vese to koi problem nahi hoti hai but thoda views ka problem hoti hai . Isiliye , mere hisab se apki video ki jo length hai vo minimum 3 minutes aur maximum 5 minutes honi chyiye .


Log sabse jada short videos main interest lete hai . But jarori  nahi hai ki aap long video nahi bana sakte . jaror bana sakte ho aagr aapka content/ Title acha hai to uske bhi kafi ache views ayege .


   5. Strong Network


Apke network kafi strong hone chyiye aagr nahi hai to apne network ko build kare iske liye aap apna ek acha bada network build kar sakte hai vo janne ke liye hmare Fb page ko like kare uske bare main apko next post meri website pe milegi .




Aab baat karte hai strong network ki


Apke apne friends se family members se aur other log jinse aap contact main rehte ho. Unse apne video  banane ke suggestions le sakte ho. Ke apko kis chiz ke upar video banani chyiye  to isse bolte hai apka network  jo apki help kare video ka content batane main .


Apne videos ke link ko apne close friends ke sath share kare aur unse aage apke link ko share karne ko bole to aapka channel jaldi grow up hoga.

Apne ab tak youtube par jitna bhi experience liya hai use aap samjhge hoge ki youtube par kya kya mistakes apko nuksan pahuchati hain. To apne dimag ka istemal kare kisi ke kehne se uske sath na chale .


Yeh Tips apko lakho views apki videos  dila sakti hai . Ese hi youtube channel ko grow karne ke liye Blogging , adsense , Affilated marketing , Youtube & Online Earning se Related Post ko dekhte rahe .Aur mere diye gaye links se mujhe follow kare daily ke update ke liye .


Is post ko apne sabhi dosto ke sath Share kare  jo youtube par videos banate hai unke liye yeh bahut helpful rahegi .


Share This Article .. Spread your love.💓









Thankyou.