Huawei Honor Note 10 is come with 6.9 Inch Super Amoled Display –
Namaskar Dosto !
Huawei Honor Note 10 ki Note Series ke bare me aap aur hum sabhi jante hi hai ki har company ke smartphones ki trah is company ke smartphone me bhi apko badi screen milti hai. In smartphones ko smartphones ke alava tablet bhi bola jata hai aur sath hi phablet bhi bola jata hai..
Honor Note 8 ki series ke bad company ne phablet banane band kar diye hai . Aur 2017 ke bad koi bhi phablet market me launched nahi hua hai . Lekin ab company phablet ki jagah ek bahut hi shandar product ko launch kar rahi hai Honor Note 10.
Abhi abhi ek report ke adhar pe pata chala hai ki Honor note 10 market me jaldi hi launch kiya jayega . kynki iska shipping box market me dekha gaya hai. yeh bataya ja raha hai ki Honor note 10 ko super - Amoled Display Samsung ki taraf se ready karvai gayi hai.
Kuch samaye pehle esi khabar aa rahi thi ki display Samsung ki taraf se Honor mate 20 pro ke liye ready ki ja rahi hai. Lekin , ab ka update kehta hai ke kisi other device ke liye hi yeh Display ka order Samsung ko mila hai .
Shayad apme se bahut km log jante hoge ki Honor Note 8 me bhi Super Amoled display ka istemal kiya gaya hai. Jisko Samsung ne hi ready kiya tha.
Honor Note 10 ka jikar kare to isme apko milta hai Dual camera 13 + 2 Megapixel ke combos ke sath aur iske alava apko isme 16 megapixel ka selfie camera bhi diya gaya hai . jiske sath apko 3,000 mAH ki battery di gayi hai aur yeh phone Android 8.0 Oreo pe kam karta hai.
To yeh tha Aaj ka latest update :
Ese hi latest update janne ke liye hmari website ko subscribe kare ya phir hume Fb pe direct message bheje --
NOTE : Daily Latest update at 8:00 PM ..Stay Ready.
Share... Spread Your love 💗
Thanks for reading 🙂