Affiliate marketing se lakho Rupees Per Month kese kamaye ?? – Full Guide in hindi
>
Namaskar Dosto !
Aaj main apko btane vala hu ki kese aap Affiliate marketing ki madad se ghar bethe 20,000 – 1,00,000 tak per month kama sakte hai. Aajkal har aadmi kuch na kuch pese Online ghar beth kar kamana chahte hai . Iske liye vo internet pe bahut si sites par visit karta hai but unhe kahi se bhi perfect information nahi milti hai . To aaj hum is post ke jariye se bat karege Affiliated marketing se online pesa kese kamaya ja sakta hai.
Ghar beth ke pese kamane ke bahut sare tarike hai jese captcha solver , ptc sites or affiliated marketing . Inme sabse badiya method affiliated marketing hain .
Sabse pehle to apko yeh pata hona jarori hai ki Affiliated marketing kya hai aur yeh kese kam karta hai. Agar main isko simple language main kahu to iska matlab hota hai kisi aur ke product ko aap apne jariye sell kar rahe hain use Affiliate marketing kehte hai .
Ab sawal aata hai ke Affiliate product ki promotion kaha karaye ??
Uske liye apke pass website / Blog hona bahut jarori hai aagr nahi hai to pareshan hone ki koi jarurat nahi hai aap Apni khud website kese banaye aur pese kese kamey - Full Guide in Hindi padh kar banaa sakte hai . agar apko koi problem aati hai to aap mjhse contact kar sakte hai . mere Fb page pe message karke :
Website / Blog banane ke bad jab bhi koi us company ka product kharidega to apko uska commission milta hai . to iski madad se aap aagr mahine ke 20 products bhi bechte hai to aapko bahut achi earning ho sakti hai .
Affiliated marketing ek Cheap aur bahut hi Fast tarika hai ghar bethe online pese kamane ka . Apko isme bas Product behne vale aur product kharidne vale ko jodna hai aur jab bhi koi product uske link se kharida jata hai to apko uske bich main ek acha commission milta hai .
Ab jo sabse bada sawal aata hai ??
Kyo koi hmare link se product lega ??
Iska jawab hai Yes ,kynki jab aap apna Website/ Blog banate hai to apke Website pe agr 1000 per day ka traffic aata hai to usme se 10 viewer ese bhi hote hai jinhe apke diye gaye product ki jarorat hoti hai ya unhe vo product pasand aata hai to us time unhe ye nahi dikhta hai ki yeh ek affiliated link hai aur vo product pe visit karte hai to uske samne kuch esa show nahi hota hai ki yeh ek affiliated link hai to viewers ko lagta hai ki yeh hamara product hai jo unhe chyiye and vo use kharid lete hai product deliver hote hi apke affiliate account main uska commission apko Mil jata hai.
Chaliye ek example lete hai jese maine Koi Bhi fashion product liya jiska price hai approx Rs.1600/-. Ab agar koi uss product ko click karne ke baad kharidta hai toh mujhe milenge isske 15 percent : matlab Rs.240/-.
Ab sochiye agar ek puree din me 10 aise sales hue tou mera commission hoga Rs.2400/-. Matlab mahine ke Rs.72000/-.
Ye toh sirf ek product ka example hai. Aap aise 100 alag alag products sell kar sakte hai like mens wear, beauty products, kitchen products, mobiles, etc.
Ab bat karte hai commission ki ?
konsi company kitana commission deti hai to --
- Clickbank 50 percent tak ke commission deti hai
- Flipkart 15 percent tak
- Amazon bhi 15 percent tak
Ab jante hai ki affiliated links kese banaye to mere sath niche diye gaye sabhi steps ko follow karte rahe :
Affiliated marketing join karne ke liye apko koi bhi Fees nahi deni hoti hai yeh bilkul free main hota hai .Aap muft main affiliated product ko bech kar earning kar sakte hai.
Affiliated marketing ke liye kayi website hain jese Amazon Affiliate , Flipkart Affiliate , Bluehost Affiliate , Clickbank Affiliate etc. to aap kisi bhi website pe jake affiliated account bana sakte hai .
Step 1 :
Step 2:
Ab apni amazon ki Login ID and Password daal de aur login pe click karde.
Step 3:
Ab jo apne apni website ya blog banaya hai uska link yaha daal de . Agar apke pass website ay blog nahi hai to aap mjhse contact karke banva bhi sakte hai but yeh paid rahega per blog INR 1000 – 2000 (price variant as per content) . Agar aap chahte hai apke pass bhi free main website ho to hmare is link ko pura padhe :
Step 4 :
Ab Apse jo bhi puchi gayi details hai use bade dhyan se fill karde aur sab kuch check karne ke bad Next karke use confirm karde :
Step 5 :
Sare steps ache se fill karne ke bad aapka affiliated account ban jayega aur apko ek unique associate ID milegi ; usse remember rakhe ya kahi notepad pe usse likh le . sab kuch karne ke bad Ab Now pe click kare.
Step 6 :
Ab Aap apne account ke dashboard pai aa jayege to aap ke pass ek Quick links name ka option aaeyga to apko uspe click karke keyword main apne website ke topic se related koi bhi product ko search kare.
Example : Meri website technology se related hai to maine mobile ko search kia hai .
Step 7:
Jese mene Redmi 5 ( Gold 32 GB) ko select kiya hai to live preview main aap meri ad ka style dekh sakte hai .
Step 8 :
Ab apni ad unit ko copy karke aap apne website pe jaha chahte hai vaha HTML/Javascript option pe jake is ad unit ko paste kar sakte hai. Aur apki Affiliated marketing ki Ad apki website pe show hone lagegi.
Ab jo bhi koi apki website pe visit karega aur apke diye gaye product ko purchase karega to apko acha commission Mileaga.
Jarori nahi hai ki aap isse apni website pe hi dale aap iss link ko copy karke apne friends ko what’sApp ya Facebook pe bhi send kar sakte hai.
Ab baat karte hai types of affiliated marketing :
1. Pay per sale ( PPS )
2. Pay per click ( PPC )
1. PPS ( Pay per sale ) - Iska matlab hota hai ki apko apka commission tabhi milega jab aap apne product ko sell kardege . jiske bare main humne is post main baat kari hai.
2 . PPC ( Pay per click ) - Iska simple sa matlab yeh hai ki aagr aap kisi bhi viewer ko product ki website pe bhejte hai to apko uski thodi bahut payment milti hai but isme aap PPS sale ka faida nahi utha sakte koi bhi apke link se kuch bhi kharide apko keval click ki hi thodi si earning milegi yeh PPS ke compare main bahut jada kam hoti hai.
Ek click ka approx. 0.2 USD Tak hi milta hai .
Affiliate program ke jada faida karne ke liye ache product ka link banaye apni Website/Blog ki Quality achi rakhe , Apne website par acha traffic laye jitne jada users utna hi jada apka faida hoga to Ab wait mat karo abhi apna affiliate link banao aur karo earning.
Agar apko is post se kuch naya sikhne ko mila ho to isko apne Dosto , Family ke sath share kare jisse mai apke liye online earning , blogger , Youtube , affiliated earning se realted daily ki post lata rahuga koi Doubt ya enquiry ho to aap mjhe mere fb page pe message kar sakte hai.
Other Posts
- Apni khud Ki Website kese banaye - Step By Step
- Youtube Videos par unlimited views kese badhaye - Full Guide in hindi
- Youtube Channel kese banaye aur kese pesa kamaye - Full guide in Hindi
Thanks for reading 🙂